dil  meñ  tere  ḳhayāl  kī  ḳhushbū
hijr  meñ  hai  visāl  kī  ḳhushbū
dil  ke  jazbe  javān  rakhtī  hai
tere  husn-o-jamāl  kī  ḳhushbū
kaash  tere  javāb  se  aa.e
mere  har  ik  savāl  kī  ḳhushbū
kaash  tujh  ko  bhī  ho  kabhī  mahsūs
mere  nā-gufta  haal  kī  ḳhushbū
mujh  ko  apne  zavāl  meñ  se  bhī
aa  rahī  hai  kamāl  kī  ḳhushbū
ham  faqīroñ  se  duur  rahtī  hai
hashmat-o-jāh-o-māl  kī  ḳhushbū
phuul  se  aa  rahī  hai  jo  sab  ko
asl  meñ  hai  nihāl  kī  ḳhushbū
ek  paude  ke  phuul  haiñ  lekin
hai  judā  Daal  Daal  kī  ḳhushbū
hai  'munavār'  tumhāre  hoñToñ  meñ
ik  parī-ruḳh  ke  ḳhaal  kī  ḳhushbū