jahāñ  bachpan  guzārā  thā  vo  ghar  pahchānte  haiñ
abhī  ham  shahr  kī  har  rahguzar  pahchānte  haiñ
parinde  jis  taraf  jaa.eñ  palaT  aate  haiñ  shab  ko
vo  apnā  āshiyāñ  apnā  shajar  pahchānte  haiñ
abhī  galiyāñ  nahīñ  bhūleñ  mire  qadmoñ  kī  aahaT
mujhe  is  shahr  ke  dar-o-dīvār  pahchānte  haiñ
kabhī  mere  havāle  se  rahī  pahchān  jin  kī
mujhe  vo  paas  aa  kar  soch  kar  pahchānte  haiñ
nahīñ  pahchānte  kuchh  log  duniyā  meñ  to  kyā  hai
mire  fan  ko  sabhī  ahl-e-nazar  pahchānte  haiñ
jo  āñkheñ  rauzanoñ  se  jhāñktī  thiiñ  ab  nahīñ  haiñ
gharoñ  ke  band  darvāze  magar  pahchānte  haiñ
'munavār'  ham  ne  yuuñ  is  shahr  kī  chīzoñ  ko  dekhā
musāfir  jaise  sāmān-e-safar  pahchānte  haiñ