ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  duniyā  se  ham  guzar  bhī  ga.e
jahāñ  Thaharnā  thā  ham  ko  vahāñ  Thahar  bhī  ga.e
hamāre  saath  rahe  zindagī  ke  hañgāme
jahāñ  jahāñ  se  bhī  guzre  jidhar  jidhar  bhī  ga.e
tire  ḳhayāl  kā  dariyā  utar  na  paayā  magar
tire  ḳhayāl  ke  dariyā  meñ  ham  utar  bhī  ga.e
zamāna  laakh  hamārī  muḳhālifat  meñ  rahā
jo  kaam  karnā  thā  ham  ko  vo  kaam  kar  bhī  ga.e
mohabbatoñ  meñ  bhī  lāzim  hai  e'tidāl  kā  rañg
ḳhulūs  had  se  baḌhā  jab  to  log  Dar  bhī  ga.e
tumhārā  naam  isī  vāste  to  zinda  hai
tumhāre  naam  pe  marnā  thā  jin  ko  mar  bhī  ga.e
ġham-e-ziyāñ  ke  sivā  kuchh  nahīñ  hai  manzil  par
safar  kā  lutf  gayā  aur  ham-safar  bhī  ga.e
ham  aise  log  munavvar  kahāñ  se  ā.eñge
jo  pastiyoñ  meñ  rahe  aur  farāz  par  bhī  ga.e