chashm-e-āhū  aur  hai  is  kī  kahānī  aur  hai
jis  meñ  maiñ  rahtā  huuñ  chashm-e-āsmānī  aur  hai
jis  meñ  tū  shāmil  thā  vo  kuchh  aur  thā  tarz-e-hayāt
ab  jo  guzre  jā  rahī  hai  zindagānī  aur  hai
ghar  ke  andar  jo  huā  vo  vāqi.a  kuchh  aur  thā
us  ne  jo  sab  ko  sunā.ī  vo  kahānī  aur  hai
ātish-e-ġham  ḳhāna-e-dil  meñ  bujhāne  ke  liye
aur  ro  lūñgā  abhī  āñkhoñ  meñ  paanī  aur  hai
tairne  se  Dūbnā  ḳhush-tar  hai  dil  kī  naav  kā
ġham  kā  dariyā  aur  hai  is  kī  ravānī  aur  hai
ik  ġhazal  sun  kar  'munavār'  vo  bahut  nārāz  hai
ik  manāne  ke  liye  us  ko  sunānī  aur  hai