chāñd  kī  ra.anā.iyoñ  meñ  raaz  ye  mastūr  hai
ḳhūbsūrat  hai  vahī  jo  dastaras  se  duur  hai
apnī  sochoñ  ke  mutābiq  kuchh  bhī  kar  saktā  nahīñ
aadmī  hālāt  ke  hāthoñ  bahut  majbūr  hai
ḳhāna-e-dil  meñ  tum  apne  jhāñk  kar  dekho  zarā
mere  iḳhlās-o-mohabbat  kā  vahāñ  bhī  nuur  hai
husn  kī  taḳhlīq  meñ  masrūf  hai  rabb-e-jahāñ
aur  shā.ir  husn  kī  tārīf  par  māmūr  hai
ye  hamāre  haq  meñ  achchhā  ho  burā  ho  kuchh  bhī  ho
ham  ne  karnā  hai  vahī  jo  aap  ko  manzūr  hai
vo  sarāpā  husn  hai  aur  maiñ  sarāpā  ishq  huuñ
saaz  se  dil  us  kā  merā  soz  se  ma.amūr  hai
mujh  ko  hai  manzūr  jabr-e-hijr  bhī  us  ke  liye
mujh  se  rah  kar  duur  bhī  koī  agar  masrūr  hai
aadmī  kam-go  hai  aur  ghar  se  nikaltā  bhī  nahīñ
shahr  meñ  phir  bhī  'munavār'  kis  qadar  mash.hūr  hai