ham  apnī  jāgtī  āñkhoñ  meñ  ḳhvāb  le  ke  chale
vo  kyā  savāl  the  jin  ke  javāb  le  ke  chale
pahan  lī  karb  kī  poshāk  rāh-e-hastī  meñ
ham  apne  vāste  ḳhud  hī  azaab  le  ke  chale
ye  aur  baat  ke  jugnū  asiir  kar  na  sake
hatheliyoñ  pe  magar  āftāb  le  ke  chale
varaq  varaq  pe  sajā.ī  hai  ḳhuun  kī  tahrīr
ki  sher  sher  nayā  intiḳhāb  le  ke  chale
jidhar  jidhar  se  bhī  guzre  bichhā  diyā  sailāb
ham  ashk  le  ke  chale  yā  chanāb  le  ke  chale
unhī  ke  haath  'munavār'  lahūluhān  hue
jo  log  mere  chaman  se  gulāb  le  ke  chale