ishq  kā  e.atibār  haiñ  ham  log
zindagī  kā  vaqār  haiñ  ham  log
gard-e-lail-o-nahār  haiñ  lekin
ġhāza-e-nau-bahār  haiñ  ham  log
sar  pe  bār-e-falak  uThā.e  haiñ
go  nahīf-o-nazār  haiñ  ham  log
dushmanoñ  ke  liye  payām-e-marg
aur  yāroñ  ke  yaar  haiñ  ham  log
zindagānī  gañvā  na  de  ham  ko
hāsil-e-rozgār  haiñ  ham  log
ik  safar  tīrgī  meñ  jaarī  hai
asp-e-shab  par  savār  haiñ  ham  log
husn  kī  qadr  hai  hameñ  ma.alūm
shā.iroñ  meñ  shumār  haiñ  ham  log
aa.ina  dekhnā  bhī  hai  mushkil
is  qadar  sharmsār  haiñ  ham  log
ham  'munavār'  haiñ  pāsbāñ  gul  ke
is  gulistāñ  meñ  ḳhaar  haiñ  ham  log