aur  koī  bhī  nahīñ  apnā  sahārā  baaqī
ab  hai  siine  meñ  faqat  dard  tumhārā  baaqī
qarya-e-jāñ  bhī  hai  aur  dāvat-e-dīdār  bhī  hai
aañkh  baaqī  nahīñ  lekin  hai  nazāra  baaqī
baaqī  āsār  haiñ  bas  qahr-e-ḳhudā  ke  har-sū
koī  tūfāñ  hai  na  kashtī  na  kināra  baaqī
us  ke  aane  kī  hai  mauhūm  sī  ummīd  abhī
āsmāñ  par  hai  abhī  ek  sitāra  baaqī
dil-o-jāñ  bhī  nahīñ  duniyā  bhī  nahīñ  hai  apnī
sochte  haiñ  ki  yahāñ  kyā  hai  hamārā  baaqī
jaane  kis  samt  hue  log  ravāna  saare
ek  maiñ  shahr  meñ  huuñ  dard  kā  maarā  baaqī