Munawwar Hashmi

luT kar wo aa nahin sakta kabhi socha nahin

Munawwar Hashmi

luuT kar vo aa nahīñ saktā kabhī sochā nahīñ
is liye jaate hue maiñ ne use rokā nahīñ
hāsil-e-ehsās hai ik umr kī tishna-labī
abr kā TukḌā bhī koī shahr par barsā nahīñ
is taraf bhī intihā aur us taraf bhī intihā
vo bhī kam hañstā nahīñ aur maiñ bhī kam hañstā nahīñ
merā zauq-e-sher hai mamnūn-e-iḳhlās-e-nazar
koī fan-pāra mirā me.aar se girtā nahīñ
lafz kā koī sitāra soch kā jugnū koī
aaj bhī zulmat-gah-e-ehsās meñ chamkā nahīñ
tujh se mere rabt kā iz.hār lafzoñ meñ kahāñ
maiñ ne apne aap ko bhī is qadar chāhā nahīñ
raushnī le kar 'munavār' maiñ gayā kis kis ke ghar
ġhair ho yā koī apnā ye kabhī dekhā nahīñ
Top Urdushayar.com