luuT  kar  vo  aa  nahīñ  saktā  kabhī  sochā  nahīñ
is  liye  jaate  hue  maiñ  ne  use  rokā  nahīñ
hāsil-e-ehsās  hai  ik  umr  kī  tishna-labī
abr  kā  TukḌā  bhī  koī  shahr  par  barsā  nahīñ
is  taraf  bhī  intihā  aur  us  taraf  bhī  intihā
vo  bhī  kam  hañstā  nahīñ  aur  maiñ  bhī  kam  hañstā  nahīñ
merā  zauq-e-sher  hai  mamnūn-e-iḳhlās-e-nazar
koī  fan-pāra  mirā  me.aar  se  girtā  nahīñ
lafz  kā  koī  sitāra  soch  kā  jugnū  koī
aaj  bhī  zulmat-gah-e-ehsās  meñ  chamkā  nahīñ
tujh  se  mere  rabt  kā  iz.hār  lafzoñ  meñ  kahāñ
maiñ  ne  apne  aap  ko  bhī  is  qadar  chāhā  nahīñ
raushnī  le  kar  'munavār'  maiñ  gayā  kis  kis  ke  ghar
ġhair  ho  yā  koī  apnā  ye  kabhī  dekhā  nahīñ