agarche  maut  ko  ham  ne  gale  lagāyā  nahīñ
magar  hayāt  kā  ehsān  bhī  uThāyā  nahīñ
nazar  ke  sāmne  ik  pal  bhī  jo  nahīñ  Thahrā
vo  kaun  shaḳhs  hai  dil  ne  use  bhulāyā  nahīñ
maiñ  apne  aap  ko  kin  rāstoñ  meñ  bhuul  aayā
ki  zindagī  ne  bhī  merā  surāġh  paayā  nahīñ
maiñ  jis  ke  vāste  malbūs-e-harf  buntā  huuñ
vo  ik  ḳhayāl  abhī  zehn  meñ  bhī  aayā  nahīñ
hazār  ḳhvāhish-e-duniyā  hazār  ḳhauf-e-ziyāñ
mirī  anā  kā  qadam  phir  bhī  Dagmagāyā  nahīñ
hayāt-e-jabr  kā  sahrā-e-be-karāñ  jis  meñ
mohabbatoñ  ke  shajar  kā  kahīñ  bhī  saayā  nahīñ
zamāna  guzrā  'munavār'  udhar  se  guzrā  thā
havā  ne  naqsh-e-qadam  aaj  tak  miTāyā  nahīñ