hamāre  haq  meñ  koī  inqalāb  hai  ki  nahīñ
hamārī  samt  khulā  dil  kā  baab  hai  ki  nahīñ
vo  ik  savāl-e-tamannā  jo  baar  baar  huā
us  ik  savāl  kā  koī  javāb  hai  ki  nahīñ
varaq  varaq  pe  tirā  naam  jis  meñ  likkhā  hai
vafā-o-mehr  kī  vo  dil  kitāb  hai  ki  nahīñ
tirā  gunāh  bhī  vaa.iz  savāb  hai  lekin
hamāre  nek  amal  kā  savāb  hai  ki  nahīñ
tumhāre  naam  mire  dil  kī  dhaḌkaneñ  jo  huiiñ
tumhāre  dil  meñ  kuchh  un  kā  hisāb  hai  ki  nahīñ
hai  merā  zehn  to  taḳhlīq-e-ḳhvāb  meñ  masrūf
tumhāre  zehn  meñ  tābīr-e-ḳhvāb  hai  ki  nahīñ
maiñ  dil  kī  baat  'munavār'  zarūr  us  se  karūñ
samā.atoñ  kī  magar  us  ko  taab  hai  ki  nahīñ