qubūl  hotī  huī  bad-duā  se  Darte  haiñ
vagarna  log  kahāñ  ye  ḳhudā  se  Darte  haiñ
chalo  ki  faisla  āḳhir  yahāñ  tamām  huā
ye  kam-nasīb  tirī  ḳhāk-e-pā  se  Darte  haiñ
sabhī  se  kahte  haiñ  bas  ḳhair  kī  duā  māñgo
kabhī  kabhī  to  ham  itnā  ḳhudā  se  Darte  haiñ
yahī  burā.ī  hai  bujhte  hue  charāġhoñ  meñ
ye  ḳhushk  pattoñ  kī  sūrat  havā  se  Darte  haiñ
jo  dekhte  haiñ  use  kuchh  nahīñ  samajhte  magar
jo  dekhnā  hai  usī  kī  sazā  se  Darte  haiñ