samajh  ke  rasta  idhar  se  guzarne  vāloñ  ne
kahīñ  kā  chhoḌā  na  dil  se  utarne  vāloñ  ne
bane-banā.e  hue  rāstoñ  pe  chalte  hue
ḳhudā  banā.e  ḳhudā.ī  se  Darne  vāloñ  ne
hazār  chhed  kiye  jholiyoñ  meñ  apnoñ  kī
tumhāre  naam  pe  ḳhairāt  karne  vāloñ  ne
tavīl  umr  kī  Dheroñ  duā.eñ  bhejī  haiñ
mire  charāġh  ko  paanī  se  bharne  vāloñ  ne
hamārī  aañkh  meñ  ik  buuñd  bhī  nahīñ  chhoḌī
misāl-e-abr  falak  par  ubharne  vāloñ  ne
ye  kis  tarah  ke  ajab  vāhimoñ  meñ  Daal  diyā
sharāb  o  shahd  kī  tasdīq  karne  vāloñ  ne
zabān-bandī  pe  majbūr  ho  ga.ī  duniyā
vo  khel  khelā  hai  hairat  se  marne  vāloñ  ne
charāġh-e-rāh  ko  ġhārat-garī  sikhā.ī  hai
havā-e-shahr  pe  ilzām  dharne  vāloñ  ne