dekhiye  ḳhaak  meñ  majnūñ  kī  asar  hai  ki  nahīñ
dasht  meñ  nāqa-e-lailā  kā  guzar  hai  ki  nahīñ
vā  agar  chashm  na  ho  us  ko  na  kahnā  pī  ashk
ye  ḳhudā  jaane  sadaf  biich  guhar  hai  ki  nahīñ
ek  ne  mujh  ko  tire  dar  ke  upar  dekh  kahā
ġhair  is  dar  ke  tujhe  aur  bhī  dar  hai  ki  nahīñ
āḳhir  is  manzil-e-hastī  se  safar  karnā  hai
ai  musāfir  tujhe  chalne  kī  ḳhabar  hai  ki  nahīñ
tosha-e-rāh  sabhī  ham-safarāñ  rakhte  haiñ
tere  dāman  meñ  'fuġhāñ'  laḳht-e-jigar  hai  ki  nahīñ