Ashraf Ali Fughan

bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772

bas-ki dīdār tirā jalva-e-quddūsī hai

dāman-e-vasl bhī ālūda-e-māyūsī hai

hai kahāñ bū-e-vafā us dahan-e-shīrīñ meñ

ġhuncha-lab terī zabāñ ham ne bahut chūsī hai

yaar go ḳhuun mirā misl-e-hinā ho pāmāl

lekin apne ta.iiñ manzūr qadam-bosī hai

dil mirā ḳhaak shagufta ho chaman meñ kar

gul meñ ye rañg kahāñ ek tirī hai

ek din zulf ke muñh par na chaḌhī ye kāfir

yād-e-kākul ko faqat sheva-e-jāsūsī hai

vo sajī teġh ki dam meñ kare lākhoñ ko qatl

kaun kahtā hai miyāñ terī kamar hai

shaiḳh rotā hai ise sun ke barhaman yaksū

pur-asar bas ki mirā nālā-e-nāqūsī hai

chashm-e-namnāk ne az bas-ki bujhāyā us ko

ātish-e-ishq kahāñ dil meñ magar hai

ai 'fuġhāñ' ishq kahāñ dil meñ ba-qaul-e-'minnat'

haañ ye sach milne ḳhūbāñ se to ik ḳhū hai

Top Urdushayar.com