Ashraf Ali Fughan

bahaar aai hai sote ko Tuk jaga dena

Ashraf Ali Fughan

Delhi, India

1725-1772

bahār aa.ī hai sote ko Tuk jagā denā

junūñ zarā mirī zanjīr ko hilā denā

tire laboñ se agar ho sake masīhā.ī

to ek baat meñ jiitā huuñ maiñ jilā denā

ab aage dekhiyo jītūñ na jītūñ qismat

mirī bisāt meñ dil hai ise lagā denā

rahūñ na garmī-e-majlis se maiñ tirī mahrūm

sipand-vār mujhe bhī zarā denā

ḳhudā kare tirī zulf-e-siyah umr darāz

kabhī balā mujhe lenā kabhī duā denā

ba-rañg-e-ġhuncha zar-e-gul ke ta.iiñ girah mat bāñdh

'fuġhāñ' jo haath meñ aave use uḌā denā

Top Urdushayar.com