tū  apnī  zaat  ke  zindāñ  se  gar  rihā.ī  de
tū  mujh  ko  phir  mire  ham-zād  kuchh  dikhā.ī  de
bas  ek  ghar  ho  ḳhudā.ī  meñ  kā.enāt  mirī
mire  ḳhudā  mujhe  itnī  baḌī  ḳhudā.ī  de
maiñ  us  ko  bhūlnā  chāhūñ  to  guuñj  kī  sūrat
vo  mujh  ko  ruuh  kī  pātāl  meñ  dikhā.ī  de
bujhā  chukā  hai  zamāna  charāġh  sab  lekin
ye  merā  ishq  ki  har  rāsta  dikhā.ī  de
hamāre  shahr  ke  saudāgaroñ  kī  mahfil  meñ
vo  ek  shaḳhs  ki  sab  se  alag  dikhā.ī  de
use  ġhurūr  atā  hai  koī  to  ab  aa.e
jo  us  ke  dast  meñ  bhī  kāsa-e-gadā.ī  de
palaT  bhī  saktī  huuñ  'īmāñ'  fanā  kī  rāhoñ  se
agar  koī  mujhe  us  naam  kī  dahā.ī  de