piirī  nahīñ  chaltī  ki  faqīrī  nahīñ  chaltī
is  ishq  meñ  har  ek  kī  marzī  nahīñ  chaltī
paḌtī  hai  banā  kar  hameñ  rakhnī  isī  ḳhātir
duniyā  ke  binā  apnī  faqīrī  nahīñ  chaltī
hāthoñ  se  gañvāte  hue  tujh  ko  yahī  sochūñ
taqdīr  ke  aage  to  kisī  kī  nahīñ  chaltī
kis  vāste  rakh  legī  bharam  merā  ye  duniyā
maiñ  jāntā  huuñ  merī  kahīñ  bhī  nahīñ  chaltī
duniyā  se  bas  itnī  sī  shikāyat  rahī  ham  ko
ye  saath  hamāre  kabhī  sīdhī  nahīñ  chaltī