dūsrā  ruḳh  nahīñ  jis  kā  usī  tasvīr  kā  hai
mas.ala  bhūle  hue  ḳhvāb  kī  ta.abīr  kā  hai
chand  qadmoñ  se  ziyāda  nahīñ  chalne  paate
jis  ko  dekho  vahī  qaidī  kisī  zanjīr  kā  hai
jo  bhī  karnā  hai  faqat  dil  kī  tasallī  ke  liye
vaqt  tahrīr  kā  hai  aur  na  tadbīr  kā  hai
tum  mohabbat  kā  use  naam  bhī  de  lo  lekin
ye  to  qissa  kisī  haarī  huī  taqdīr  kā  hai
ye  jo  chalne  nahīñ  paate  tirī  jānib  dar-asl
jaldī  jaldī  meñ  kahīñ  Dar  hameñ  tāḳhīr  kā  hai
bilkul  aise  mujhe  hāsil  hai  himāyat  sab  kī
har  koī  jaise  taraf-dār  yahāñ  hiir  kā  hai