nahīñ  nām-o-nishāñ  saa.e  kā  lekin  yaar  baiThe  haiñ
uge  shāyad  zamīñ  se  ḳhud-ba-ḳhud  dīvār  baiThe  haiñ
savār-e-kashti-e-amvāj-e-dil  haiñ  aur  ġhāfil  haiñ
samajhte  haiñ  ki  ham  dariyā-e-ġham  ke  paar  baiThe  haiñ
ujaaḌ  aisī  na  thī  duniyā  abhī  kal  tak  ye  aalam  thā
yahāñ  do-chār  baiThe  haiñ  vahāñ  do-chār  baiThe  haiñ
phir  aatī  hai  isī  sahrā  se  āvāz-e-jaras  mujh  ko
jahāñ  majnūñ  se  dīvāne  bhī  himmat  haar  baiThe  haiñ
samajhte  ho  jinheñ  tum  sañg-e-mīl  ai  qāfile  vaalo
sar-e-rah  ḳhastgān-e-hasrat-raftār  baiThe  haiñ
ye  jitne  mas.ale  haiñ  mashġhale  haiñ  sab  farāġhat  ke
na  tum  be-kār  baiThe  ho  na  ham  be-kār  baiThe  haiñ
tumheñ  'anjum'  koī  us  se  tavaqqo  ho  to  ho  varna
yahāñ  to  aadmī  kī  shakl  se  be-zār  baiThe  haiñ