Anjum Rumani

dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

Anjum Rumani

Kapurthala, Punjab, India

1920-2001

dukhī diloñ ke liye tāziyāna rakhtā hai

har ek shaḳhs yahāñ ik fasāna rakhtā hai

kisī bhī haal meñ raazī nahīñ hai dil ham se

har ik tarah ye kāfir bahāna rakhtā hai

azal se Dhañg haiñ dil ke ajiib se shāyad

kisī se rasm-o-rah ġhā.ebāna rakhtā hai

koī to faiz hai koī to baat hai is meñ

kisī ko dost yūñhī kab zamāna rakhtā hai

faqīh-e-shahr bātoñ se dar-guzar behtar

bashar hai aur ġham-e-āb-o-dāna rakhtā hai

muāmlāt-e-jahāñ ḳhabar kyā us ko

muāmlā kisī se rakkhā na rakhtā hai

hamīñ ne aaj tak apnī taraf nahīñ dekhā

tavaqquāt bahut kuchh zamāna rakhtā hai

qalandarī hai ki rakhtā hai dil ġhanī 'anjum'

koī dukāñ na koī kār-ḳhāna rakhtā hai

Top Urdushayar.com