jab  bhī  koī  baat  kī  aañsū  Dhalke  saath
ham  bhī  pāgal  ho  ga.e  man  pāgal  ke  saath
raat  ko  kaalī  chāñdnī  din  ko  kaalī  dhuup
DhūñDeñ  āñhkeñ  raushnī  raheñ  dhundalke  saath
māreñ  Tāmak-Toīye  añdhiyāre  meñ  log
taare  saare  bujh  ga.e  dil  ke  kañval  ke  saath
aaj  hai  man  meñ  ran  paḌā  aaj  kī  rakkho  laaj
jhūTī  kal  kī  dostī  jhūTe  kal  ke  saath
paap  karo  jī  khol  kar  dhabboñ  kī  kyā  soch
jab  jī  chāhā  dho  liye  gañgā-jal  ke  saath
gurū  to  ḳhair  gurū  huā  us  kī  bhalī  kahī
chaltā  hai  kyā  bālakā  uchhal  uchhal  ke  saath
rail  bajā.e  sīTiyāñ  dauḌo  vaqt  chalā
huqqa  piine  chaudharī  gayā  ajal  ke  saath
totoñ  ne  haiñ  aaj  kal  khole  yahāñ  schōl
bailoñ  ne  haiñ  aadmī  juute  hal  ke  saath
aan  kī  aan  meñ  ho  ga.ī  duniyā  aur  se  aur
ham  tum  baiThe  rah  ga.e  biite  pal  ke  saath
duniyā  kī  ye  riit  hai  māñge  bhiik  na  de
paa.e  vahī  jo  chhīn  le  baḌh  kar  bal  ke  saath
koī  vaqt  ko  rok  lo  gayā  na  aa.e  haath
aatā  pal  bhī  lo  gayā  jaate  pal  ke  saath
ghar  baiThe  hogī  nahīñ  vahshat  dil  kī  duur
raas  rachī  hai  shahr  meñ  dekho  chal  ke  saath
madh  maate  kā  saath  kyā  aa.ī  lahr  gayā
partav  le  man  bāñvarā  har  āñchal  ke  saath
ham  ko  dekho  pī  ga.e  maTke  zahar  bhare
tum  to  be-sudh  ho  ga.e  ik  botal  ke  saath
jaatā  thā  ik  qāfila  rūp-nagar  kī  aur
ham  bhī  'anjum'  ho  liye  bhes  badal  ke  saath