har  chand  unheñ  ahd  farāmosh  na  hogā
lekin  hameñ  us  vaqt  koī  hosh  na  hogā
dekhoge  to  aa.egī  tumheñ  apnī  jafā  yaad
ḳhāmosh  jise  pāoge  ḳhāmosh  na  hogā
guzre  haiñ  vo  lamhe  ki  sadā  yaad  raheñge
dekhā  hai  vo  aalam  ki  farāmosh  na  hogā
ham  apnī  shikastoñ  se  haiñ  jis  tarah  baġhal-gīr
yuuñ  qabr  se  bhī  koī  ham-āġhosh  na  hogā
pī  jaate  haiñ  zahr-e-ġham-e-hastī  ho  ki  mai  ho
ham  sā  bhī  zamāne  meñ  balā-nosh  na  hogā
hone  ko  to  duniyā  meñ  ka.ī  parda-nashīñ  haiñ
lekin  tirī  sūrat  koī  rū-posh  na  hogā
pāoge  na  āzād-e-ġham-anjum  kisī  dil  ko
hogā  ġham-e-fardā  jo  ġham-e-dosh  na  hogā