ham  se  bhī  gaahe  gaahe  mulāqāt  chāhiye
insān  haiñ  sabhī  to  musāvāt  chāhiye
achchhā  chalo  ḳhudā  na  sahī  un  ko  kyā  huā
āḳhir  koī  to  qāzi-e-hājāt  chāhiye
hai  āqibat  ḳharāb  to  duniyā  hī  Thiik  ho
koī  to  sūrat-e-guzar-auqāt  chāhiye
jaane  palak  jhapakne  meñ  kyā  gul  khilā.e  vaqt
har  dam  nazar  ba-sūrat-e-hālāt  chāhiye
aa.egī  ham  ko  raas  na  yak-rañgi-e-ḳhalā
ahl-e-zamīñ  haiñ  ham  hameñ  din  raat  chāhiye
vā  kar  diye  haiñ  ilm  ne  dariyā-e-ma.arifat
andhoñ  ko  ab  bhī  kashf  o  karāmāt  chāhiye
jab  qais  kī  kahānī  ab  anjum  kī  dāstāñ
duniyā  ko  dil  lagī  ke  liye  baat  chāhiye