Zareef Lakhnavi

tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho

Zareef Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1870-1937
tamannā hai kisī kī teġh ho aur apnī gardan ho
phir us ke ba.ad yārab sar kaTe naale meñ madfan ho
hujūm-e-ām ho aur mujtam.a goroñ kī palTan ho
samajh lo lauT aa.e haiñ jo station pe dan dan ho
kaheñ qātil ko ham mahbūb agar hai ain nādānī
hazar lāzim hai aise shaḳhs se jo apnā dushman ho
lab-e-shīrīñ agar ma.ashūq kā qand-e-mukarrar hai
jabhī jāneñ ki baiTheñ makkhiyāñ aur us pe bhan bhan ho
na turbat kī jagah kūche meñ paa.ī to shikāyat kyā
galī un kī koī takiya hai jis meñ apnā madfan ho
ye sab lakḌī ke taḳhte ḳhaak meñ mil jaa.eñ jal-bhun kar
ġhazab ho jaa.e gar sach-much lahad meñ daaġh raushan ho
yahī dahshat agar dast-e-junūñ kī hai to ai bhaa.ī
dupaTTa oḌh lo jis meñ garebāñ ho na dāman ho
nigāh-e-shauq kyā Thahrī vo goyā belcha Thahrī
makān-e-yār kī dīvār meñ jis se ki rauzan ho
machā.e shor-o-ġhul āh-e-sharar-afshāñ kare har-dam
yahī ausāf lāzim hai to āshiq kyuuñ ho engine ho
hamārā jhonjh phulvārī meñ ho koī nahīñ kahtā
yahī kahte haiñ yārab baaġh meñ apnā nasheman ho
azal se tā-abad lambī yaqīñ hai Taañg bhī hogī
hasīn shoḳh vo sahrā-e-mahshar jis kā dāman ho
'zarīf' insāf se kah do vo āshiq hai ki chuhā hai
zamīn-e-qasr-e-jānāñ meñ jo ye chāhe ki maskan ho
Top Urdushayar.com