Zareef Lakhnavi

tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota

Zareef Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1870-1937
tere rahne ko munāsib thā ki chhappar hotā
ki na chaukhaT tirī hotī na mirā sar hotā
qismat-e-najd kā gar qais commissioner hotā
lady-lailā kī havā-ḳhorī ko motor hotā
ġhair mil-jul ke uThā lete ki the be-ġhairat
go pahāḌ aap ke ehsān kā chhappar hotā
chaa.e meñ Daal kar ushshāq use pī jaate
dar-haqīqat lab-e-ma.ashūq jo shakkar hotā
malak-ul-maut pe jhalne ko banātā maiñ chañvar
tā.er-e-rūh kī dam meñ jo koī par hotā
le hī letā lab-e-dildār kā bosa uḌ kar
kaash āshiq jo banāyā thā to machchhar hotā
Thokareñ ġhair ke marqad pe lagātā kyuuñ kar
boot kī jā pe jo tū pahne slēper hotā
chāTtā saarī kitāboñ ko baġhair az-diqqat
ilm kā shauq jise hai jo vo jheñgar hotā
paas kartā resolution ki hasīnoñ pe ho tex
maiñ kabhī municipality kā jo member hotā
lucknow se shab-e-yak-shamba bareilly aate
paañv meñ gar na 'zarīf' apne sanīchar hotā
Top Urdushayar.com