Ishrat Afreen

ye nazuk si mere andar ki laDki

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956

ye nāzuk mire andar laḌkī

ajab jazbe ajab tevar laḌkī

yūñhī zaḳhmī nahīñ haiñ haath mere

tarāshī maiñ ne ik patthar laḌkī

khaḌī hai fikr ke āzar-kade meñ

burīda-dast phir aazar laḌkī

anā khoī to kuḌh kar mar ga.ī vo

baḌī hassās thī andar laḌkī

sazāvār-e-hunar mujh ko na Thahrā

ye fan merā na maiñ aazar laḌkī

bikhar kar shīsha shīsha reza reza

simaT kar phuul se paikar laḌkī

havelī ke makīñ to chāhte the

ki ghar meñ rahe ye ghar laḌkī

Top Urdushayar.com