Ishrat Afreen

kaisa KHazana ye to zad-e-safar nahin rakhti

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956

kaisā ḳhazāna ye to zād-e-safar nahīñ rakhtī

ḳhāna-ba-dosh mohabbat koī ghar nahīñ rakhtī

yādoñ ke bistar par terī ḳhushbū kāḌhūñ

is ke savā to aur maiñ koī hunar nahīñ rakhtī

koī bhī āvāz us aahaT nahīñ hotī

koī bhī ḳhushbū us paikar nahīñ rakhtī

maiñ jañgal huuñ aur apnī tanhā.ī par ḳhush

merī jaḌeñ zamīn meñ haiñ koī Dar nahīñ rakhtī

vo jo lauT bhī aayā to kyā daan karūñgī

maiñ to us ke naam ik zevar nahīñ rakhtī

'mīrā' maañ mirī aag ko koī gun nahīñ aayā

us mūrat ko raam karūñ ye hunar nahīñ rakhtī

Top Urdushayar.com