Ishrat Afreen

bhuk ki kaDwahaT se sard kasile honT

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
bhuuk kī kaḌvāhaT se sard kasīle hoñT
ḳhuun ugalte sūkhe chaTḳhe piile hoñT
TuuTī chūḌī ThanDī laḌkī bāġhī umr
sabz badan pathrā.ī āñkheñ niile hoñT
suunā āñgan tanhā aurat lambī umr
ḳhālī āñkheñ bhīgā āñchal giile hoñT
kachche kachche lafzoñ kā ye niilā zahr
chhū jaa.e to mūrakh tū bhī chhīle hoñT
zahr hī māñgeñ amrit-ras ko muñh na lagā.eñ
bāġhī ziddī vahshī aur haTīle hoñT
aisī banjar bāteñ aise kaḌve bol
aise sundar komal surḳh rasīle hoñT
itnā bologī to kyā socheñge log
rasm yahāñ kī ye hai laḌkī sī le hoñT
Top Urdushayar.com