bhuuk  kī  kaḌvāhaT  se  sard  kasīle  hoñT
ḳhuun  ugalte  sūkhe  chaTḳhe  piile  hoñT
TuuTī  chūḌī  ThanDī  laḌkī  bāġhī  umr
sabz  badan  pathrā.ī  āñkheñ  niile  hoñT
suunā  āñgan  tanhā  aurat  lambī  umr
ḳhālī  āñkheñ  bhīgā  āñchal  giile  hoñT
kachche  kachche  lafzoñ  kā  ye  niilā  zahr
chhū  jaa.e  to  mūrakh  tū  bhī  chhīle  hoñT
zahr  hī  māñgeñ  amrit-ras  ko  muñh  na  lagā.eñ
bāġhī  ziddī  vahshī  aur  haTīle  hoñT
aisī  banjar  bāteñ  aise  kaḌve  bol
aise  sundar  komal  surḳh  rasīle  hoñT
itnā  bologī  to  kyā  socheñge  log
rasm  yahāñ  kī  ye  hai  laḌkī  sī  le  hoñT