dil  hai  yā  mele  meñ  khoyā  huā  bachcha  koī
jis  ko  bahlā  nahīñ  saktā  hai  khilaunā  koī
maiñ  to  jalte  hue  zaḳhmoñ  ke  tale  rahtī  huuñ
tū  ne  dekhā  hai  kabhī  dhuup  kā  sahrā  koī
maiñ  lahū  huuñ  to  koī  aur  bhī  zaḳhmī  hogā
apnī  dahlīz  pe  pheñko  to  na  shīsha  koī
ḳhvāhisheñ  dil  meñ  machal  kar  yūñhī  so  jaatī  haiñ
jaise  añgnā.ī  meñ  rotā  huā  bachcha  koī
zā.iche  tū  ne  umīdoñ  ke  banā.e  the  magar
miT  ga.e  harf  girā  āñkhoñ  se  qatra  koī
chāñdnī  jab  bhī  utartī  hai  mire  āñgan  meñ
kholtā  hai  tirī  yādoñ  kā  darīcha  koī
merā  ghar  jis  ke  dar-o-bām  bhī  mehmān  se  the
kaash  is  ujḌe  hue  ghar  meñ  na  aatā  koī
dil  koī  phuul  nahīñ  hai  ki  agar  toḌ  diyā
shāḳh  par  is  se  bhī  khil  jā.egā  achchhā  koī
tum  bhare  shahr  meñ  afkār  liye  phirte  ho
sab  to  muflis  haiñ  ḳharīdegā  yahāñ  kyā  koī
raat  tanhā.ī  ke  mele  meñ  mire  saath  thā  vo
varna  yuuñ  ghar  se  nikaltā  hai  akelā  koī
'āfrīñ'  dard  kā  ehsās  miTā  hai  aise
jaise  bachpan  meñ  banāyā  thā  gharauñdā  koī