Ishrat Afreen

yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
yūñhī kisī ke dhyān meñ apne aap meñ gaatī do-pahreñ
narm gulābī jāḌoñ vaalī baal sukhātī do-pahreñ
saare ghar meñ shaam Dhale tak khel vo dhuup aur chhāñv kā
lappe patte kachche āñgan meñ loT lagātī do-pahreñ
jīvan-Dor ke pīchhe hairāñ bhāgtī Tolī bachchoñ kī
galiyoñ galiyoñ nañge paañv dhuul uḌātī do-pahreñ
sargoshī karte parde kunDī khaTkātā naT-khaT din
dabe dabe qadmoñ se taptī chhat par jaatī do-pahreñ
kamre meñ hairān khaḌe ā.īna jaise hañste din
ḳhud se laḌ kar gaurayyā sī shor machātī do-pahreñ
vahī muzāfātoñ ke bhed bhare sannāToñ vaale ghar
guḌiyoñ ke lab sī kar un kā byaah rachātī do-pahreñ
khiḌkī ke TuuTe shīshoñ par ek kahānī likhtī haiñ
mañDhe hue piile kāġhaz se chhan kar aatī do-pahreñ
niim tale vo kachche dhāge rañgtī huī purānī yaad
gherā Daale chhoTī chhoTī haath baTātī do-pahreñ
phaTī-purānī kathrī oḌhe dhuup señkte būḌhe din
peshānī tak pallū khīñche chilam banātī do-pahreñ
paanī kī taqsīm ke pīchhe jalte khet sulagte ghar
aur khetoñ kī zard muñDeroñ par kumlātī do-pahreñ
purvā.ī se laḌte kitne varaq purānī yādoñ ke
sauġhātoñ ke sandūqoñ ko dhuup dikhātī do-pahreñ
dukhtī āñkheñ zaḳhmī poreñ uljhe dhāgoñ jaise din
bādal jaisī oḌhniyoñ par phuul khilātī do-pahreñ
oḌhniyoñ ke uḌte bādal rañgoñ ke bāzāroñ meñ
chūḌī kī dūkānoñ se vo hameñ bulātī do-pahreñ
sunte haiñ ab un galiyoñ meñ phuul sharāre khilte haiñ
ḳhuun kī holī khel rahī haiñ rañg nahātī do-pahreñ
ye to mere ḳhvāb nahīñ haiñ ye to merā shahr nahīñ
kis jānib se aa niklī haiñ ye gahnātī do-pahreñ
Top Urdushayar.com