yūñhī  kisī  ke  dhyān  meñ  apne  aap  meñ  gaatī  do-pahreñ
narm  gulābī  jāḌoñ  vaalī  baal  sukhātī  do-pahreñ
saare  ghar  meñ  shaam  Dhale  tak  khel  vo  dhuup  aur  chhāñv  kā
lappe  patte  kachche  āñgan  meñ  loT  lagātī  do-pahreñ
jīvan-Dor  ke  pīchhe  hairāñ  bhāgtī  Tolī  bachchoñ  kī
galiyoñ  galiyoñ  nañge  paañv  dhuul  uḌātī  do-pahreñ
sargoshī  karte  parde  kunDī  khaTkātā  naT-khaT  din
dabe  dabe  qadmoñ  se  taptī  chhat  par  jaatī  do-pahreñ
kamre  meñ  hairān  khaḌe  ā.īna  jaise  hañste  din
ḳhud  se  laḌ  kar  gaurayyā  sī  shor  machātī  do-pahreñ
vahī  muzāfātoñ  ke  bhed  bhare  sannāToñ  vaale  ghar
guḌiyoñ  ke  lab  sī  kar  un  kā  byaah  rachātī  do-pahreñ
khiḌkī  ke  TuuTe  shīshoñ  par  ek  kahānī  likhtī  haiñ
mañDhe  hue  piile  kāġhaz  se  chhan  kar  aatī  do-pahreñ
niim  tale  vo  kachche  dhāge  rañgtī  huī  purānī  yaad
gherā  Daale  chhoTī  chhoTī  haath  baTātī  do-pahreñ
phaTī-purānī  kathrī  oḌhe  dhuup  señkte  būḌhe  din
peshānī  tak  pallū  khīñche  chilam  banātī  do-pahreñ
paanī  kī  taqsīm  ke  pīchhe  jalte  khet  sulagte  ghar
aur  khetoñ  kī  zard  muñDeroñ  par  kumlātī  do-pahreñ
purvā.ī  se  laḌte  kitne  varaq  purānī  yādoñ  ke
sauġhātoñ  ke  sandūqoñ  ko  dhuup  dikhātī  do-pahreñ
dukhtī  āñkheñ  zaḳhmī  poreñ  uljhe  dhāgoñ  jaise  din
bādal  jaisī  oḌhniyoñ  par  phuul  khilātī  do-pahreñ
oḌhniyoñ  ke  uḌte  bādal  rañgoñ  ke  bāzāroñ  meñ
chūḌī  kī  dūkānoñ  se  vo  hameñ  bulātī  do-pahreñ
sunte  haiñ  ab  un  galiyoñ  meñ  phuul  sharāre  khilte  haiñ
ḳhuun  kī  holī  khel  rahī  haiñ  rañg  nahātī  do-pahreñ
ye  to  mere  ḳhvāb  nahīñ  haiñ  ye  to  merā  shahr  nahīñ
kis  jānib  se  aa  niklī  haiñ  ye  gahnātī  do-pahreñ