havā.eñ  jab  ghanTiyāñ  bajā.eñ  to  lauT  aanā
kisī  kī  āñkheñ  diye  jalā.eñ  to  lauT  aanā
bahut  dinoñ  tak  ye  mausam-e-gul  nahīñ  rahegā
jo  shāḳh-e-jāñ  par  gulāb  aa.eñ  to  lauT  aanā
havā  daraḳhtoñ  se  jab  gale  mil  ke  ro  rahī  ho
parind  lambe  safar  pe  jaa.eñ  to  lauT  aanā
jo  zid  pe  aa  jaa.e  dil  to  us  kī  bhī  maan  lenā
purānī  yādeñ  bahut  satā.eñ  to  lauT  aanā
firāq  kī  aag  chaaT  jaatī  hai  jism-o-jāñ  ko
jo  sun  sako  vaqt  kī  sadā.eñ  to  lauT  aanā