asar  dekhā  duā  jab  rāt-bhar  kī
ziyā  kuchh  kuchh  hai  tāroñ  meñ  sahar  kī
hue  ruḳhsat  jahāñ  se  sub.h  hote
kahānī  hijr  meñ  yuuñ  muḳhtasar  kī
taḌap  uTThe  lahad  meñ  sone  vaale
zamīñ  kī  samt  yuuñ  tum  ne  nazar  kī
sahar  ko  maut  kī  māñgī  duā.eñ
duā  maqbūl  hotī  hai  sahar  kī
ye  bijlī  hai  ki  ai  abr-e-shab-e-hijr
hai  dhajjī  ek  dāmān-e-sahar  kī