vaqt  ke  saath  na.ī  soch  meñ  Dhal  jaate  haiñ
ham  vo  sikke  haiñ  jo  har  daur  meñ  chal  jaate  haiñ
itne  mānūs  hue  mujh  se  mire  ghar  ke  charāġh
shaam  hote  hī  mujhe  dekh  ke  jal  jaate  haiñ
dekh  letā  huuñ  jo  kuchh  der  tirī  āñkhoñ  ko
terī  āñkhoñ  se  mire  ḳhvāb  badal  jaate  haiñ
ik  takalluf  meñ  lihāfoñ  kā  sahārā  le  kar
āstīnoñ  meñ  chhupe  saañp  bhī  pal  jaate  haiñ
vaqt  kab  haath  se  jaatā  hai  kisī  ke  'sāhir'
vaqt  ke  haath  se  ham  log  nikal  jaate  haiñ