matā-e-dard  ma.āl-e-hayāt  hai  shāyad
dil-e-shikasta  mirī  kā.enāt  hai  shāyad
bas  ik  naqāb  thī  vo  sub.h-e-nau  ke  chehra  par
ham  is  fareb  meñ  uljhe  ki  raat  hai  shāyad
ḳhirad  kī  had  bhī  milī  hai  junūn  par  aa  kar
junūn  qahr-e-ḳhirad  se  najāt  hai  shāyad
ye  ik  ḳhalish  ki  musalsal  satā  rahī  hai  mujhe
ki  lab  vo  kāñpe  haiñ  kyuuñ  koī  baat  hai  shāyad
unheñ  gumāñ  ki  mujhe  un  se  rabt  hai  'sālim'
mujhe  ye  vahm  unheñ  iltifāt  hai  shāyad