pesh-ḳhema  ye  kisī  ek  musībat  kā  nahīñ
dukh  hai  kuchh  aur  mirī  jaan  masāfat  kā  nahīñ
ham  mazāfāt  se  aa.e  hue  logoñ  kā  miyāñ
mas.ala  rizq  kā  hotā  hai  mohabbat  kā  nahīñ
jism  kī  jiit  koī  jiit  nahīñ  mere  liye
ye  vo  sāmān  hai  jo  merī  zarūrat  kā  nahīñ
thoḌī  koshish  se  hī  aa  jaatī  hai  ab  niiñd  mujhe
is  kā  matlab  hai  ki  vo  merī  tabī.at  kā  nahīñ
ye  to  ḳhud  chal  ke  nishāne  pe  lage  haiñ  tere
daḳhl  is  meñ  to  koī  terī  mahārat  kā  nahīñ
roz  dariyā  meñ  jo  ik  phuul  bahā  detā  huuñ
ye  kisī  dukh  kā  ishāra  hai  aqīdat  kā  nahīñ
ham  haiñ  haare  hue  lashkar  ke  sipāhī  'sāhir'
fā.eda  ham  ko  kisī  kī  bhī  himāyat  kā  nahīñ