baḌe  ḳhulūs  se  apnā  banā  liyā  thā  mujhe
tumhāre  hijr  ne  zinda  bachā  liyā  thā  mujhe
yaqīn  jaan  bahut  Dar  gayā  thā  us  din  jab
gale  se  tū  ne  achānak  lagā  liyā  thā  mujhe
bichhaḌ  ga.e  haiñ  to  saarā  qusūr  hai  terā
ki  tū  ne  sar  pe  jo  itnā  chaḌhā  liyā  thā  mujhe
maiñ  itnī  der  kahīñ  baiTh  hī  nahīñ  saktā
kisī  ne  haath  pakaḌ  kar  biThā  liyā  thā  mujhe
jo  is  tarah  se  mujhe  ḳharch  kar  rahā  hai  tū
ye  chand  roz  meñ  kitnā  kamā  liyā  thā  mujhe
mujhe  ḳhushī  hai  suhūlat  se  ab  marūñgā  maiñ
ki  ek  baar  to  us  ne  bachā  liyā  thā  mujhe
vo  sard  shaam  vo  bārish  vo  lāpatā  yādeñ
kisī  ne  shaal  meñ  'sāhir'  chhupā  liyā  thā  mujhe