lage  hue  the  sabhī  shor  hī  machāne  meñ
jabhī  to  der  lagī  aag  ko  bujhāne  meñ
vagarna  mujh  se  koī  kaam  hī  na  ho  paa.e
kuchh  aisī  barkateñ  haiñ  tere  muskurāne  meñ
ajiib  saa.e  sukūnat  kiye  hue  the  yahāñ
baḌā  sukūn  milā  hai  ye  ghar  jalāne  meñ
bachā  sakā  na  tirā  ishq  dukh  to  hai  lekin
lagā  huā  huuñ  maiñ  ab  naukrī  bachāne  meñ
jo  ho  sake  to  mire  hijr  meñ  izāfa  kar
ki  mujh  se  der  huī  tujh  se  dil  lagāne  meñ
bahā  ke  le  gayā  dariyā  tamām  bastī  ko
magar  ye  log  rahe  kashtiyāñ  banāne  meñ
mire  makāñ  ke  añdheroñ  ko  kaun  samjhā.e
ḳhushī  milī  jo  havā  ko  diyā  bujhāne  meñ
jo  naam  ham  ne  kamāyā  hai  ishq  meñ  'sāhir'
janāb-e-qais  ko  sadiyāñ  lagīñ  kamāne  meñ