ham  aise  log  kahāñ  manziloñ  ko  paate  haiñ
ham  aise  log  faqat  rāste  banāte  haiñ
ye  tere  jism  ko  chhū  kar  pata  chalā  hai  mujhe
ki  narm  phuul  bahut  jald  suukh  jaate  haiñ
ye  kaam  hijr  meñ  bid.at  shumār  hotā  hai
magar  ye  dekh  ki  ham  phir  bhī  muskurāte  haiñ
tirā  to  ḳhair  koī  tujh  se  duur  hī  na  gayā
tujhe  ḳhabar  hī  nahīñ  saañs  kaise  aate  haiñ
nazar  na  ā.eñge  tujh  ko  ġhubār  uḌne  de
tire  liye  jo  mujhe  raah  se  haTāte  haiñ
tumhāre  ḳhvāb  ġhanīmat  haiñ  bujhtī  āñkhoñ  ko
magar  ye  ḳhvāb  hameñ  niiñd  se  jagāte  haiñ
ye  kaun  baaġh  meñ  'sāhir'  dikhā.ī  dene  lagā
ki  phuul  peḌ  parinde  ḳhushī  manāte  haiñ