yahī  nahīñ  hai  ki  shānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
abhī  to  apnī  miyānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
vo  gaal  surḳh  hue  hoñ  to  yuuñ  lageñ  jaise
safed  reshmī  thānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
ye  ḳhāmushī  vo  balā  hai  ki  chīḳh  uTThe  agar
to  sunñe  vāloñ  ke  kānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
hamāre  ḳhvāb  paTakte  haiñ  yuuñ  hamāre  sar
tamām  raat  sirhānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
vo  jañg  jiit  ke  ūñToñ  kā  ruḳh  badalne  lage
abhī  to  un  kī  machānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
ye  apne  daur  ke  sab  se  baḌe  munāfiq  haiñ
isī  liye  to  zabānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
tamām  vaqt  guzartā  hai  zaḳhm  sahlāte
tarah  tarah  ke  bahānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
hameñ  to  ilm  sikhāyā  nahīñ  hai  thoñpā  hai
hamāre  ilmī  ḳhazānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai
na  jaane  kitne  zamāne  guzar  ga.e  sāhir
na  jaane  kitne  zamānoñ  se  ḳhuun  bahtā  hai