yaas  hai  hasrat  hai  ġham  hai  aur  shab-e-dījūr  hai
itne  sāthī  haiñ  magar  tanhā  dil-e-ranjūr  hai
terā  jaanā  thā  ki  ġham-ḳhāne  pe  vahshat  chhā  ga.ī
maiñ  ye  samjhā  thā  mire  ghar  se  bayābāñ  duur  hai
shab  kī  ḳhāmoshī  meñ  hai  terā  tasavvur  terī  yaad
haa.e  kyā  sāmān-e-taskīn-e-dil-e-ranjūr  hai