faqīr  maujī  ḳharāb  hāloñ  kā  kyā  banegā
ye  ishq  kartī  udaas  nasloñ  kā  kyā  banegā
hamāre  purkhoñ  ne  ham  se  behtar  guzār  lī  hai
maiñ  sochtā  huuñ  hamāre  bachchoñ  kā  kyā  banegā
hamāre  jismoñ  kā  ḳhaak  honā  to  Thiik  hai  par
tumhārī  āñkhoñ  tumhāre  hoñToñ  kā  kyā  banegā
hameñ  to  rone  meñ  koī  diqqat  nahīñ  hai  lekin
vo  pūchhnā  thā  ki  rone  vāloñ  kā  kyā  banegā
mazāq  uḌāte  haiñ  log  farzī  kahāniyoñ  kā
ki  sīdhe-sāde  se  un  buzurgoñ  kā  kyā  banegā
talāsh  kartī  haiñ  is  badan  kī  bashāratoñ  ko
haqīr  sochoñ  harīs  bāñhoñ  kā  kyā  banegā
vo  husn  aise  hī  ḳharch  hotā  rahā  to  sāhir
hamārī  nazmoñ  hamārī  ġhazloñ  kā  kyā  banegā