ye  bebasī  to  umūman  hī  saath  hotī  hai
hamāre  sāmne  jab  us  kī  zaat  hotī  hai
har  ek  baat  ki  jis  meñ  tumhārā  zikr  nahīñ
vo  jaise  dūsre  maslak  kī  baat  hotī  hai
hamāre  gaañv  meñ  sūraj  ġhurūb  ho  ki  na  ho
kisī  ke  aañkh  lagāne  se  raat  hotī  hai
mire  hurūf  mirā  zabt  noch  khāte  haiñ
tire  ḳhayāl  kī  jab  vārdāt  hotī  hai
ajab  tarah  se  maiñ  sab  ko  pachhāḌtā  huuñ  magar
ajab  tarah  se  hamesha  hī  maat  hotī  hai
ye  ḳhāmushī  hai  tirī  aañkh  kī  fusūñ-kārī
ye  lafz  tere  laboñ  kī  zakāt  hotī  hai
bas  itnā  soch  ke  'sāhir'  maiñ  us  se  kahtā  nahīñ
ki  us  ke  dhyān  meñ  shāyad  vo  baat  hotī  hai