maiñ  tahī-dast  mohabbat  meñ  bhalā  kyā  detā
tere  hisse  se  magar  tujh  ko  ziyāda  detā
zindagī  tū  ne  baḌī  der  lagā  dī  varna
maiñ  tujhe  miltā  tire  gaal  pe  bosa  detā
ba.az  auqāt  agar  sher  na  hotā  mujh  se
us  kī  āñkhoñ  kā  ishāra  mujhe  misra  detā
maiñ  zamāne  ko  banātā  to  zamāne  bhar  ko
terī  āñkheñ  tirā  chehra  tirā  lahja  detā
tū  Thahartā  to  koī  hal  bhī  nikal  saktā  thā
saath  chaltā  na  tire  mashvara  achchhā  detā
tum  ko  lālach  thī  ḳhazāne  kī  so  nākām  hue
mujh  se  kahte  to  maiñ  us  ġhaar  kā  naqsha  detā
itnā  ḳhush  thā  vo  bichhaḌte  hue  mujh  se  varna
paañv  paḌtā  maiñ  use  roktā  samjhā  detā
piiTh  pīchhe  se  agar  vaar  na  kartā  'sāhir'
apne  dushman  ke  janāze  ko  maiñ  kandhā  detā