vo  chāñd-rut  ke  hasīn  lamhoñ  kī  shā.irī  hai
ki  us  kī  bāteñ  hazār  sāloñ  kī  shā.irī  hai
ye  ḳhushk  patte  ki  jaise  rāhoñ  meñ  lafz  bikhre
udaas  mausam  meñ  in  daraḳhtoñ  kī  shā.irī  hai
hamārī  āñkheñ  udaas  ġhazloñ  ke  qāfiye  haiñ
hamārā  chehra  purāne  vaqtoñ  kī  shā.irī  hai
tumhārā  hañsnā  hamārī  nazmoñ  kī  ibtidā  thī
hamārā  ronā  tumhārī  āñkhoñ  kī  shā.irī  hai
ye  sirf  harfoñ  kī  tāb-kārī  kā  zahr  kab  hai
ḳhudā  ke  bando  ye  ham  ġharīboñ  kī  shā.irī  hai