lamhoñ  meñ  ek  umr  kī  mehnat  ḳharāb  kī
is  dhuup  ne  makān  kī  rañgat  ḳharāb  kī
raste  meñ  phuul  dekh  ke  ham  log  Dar  ga.e
kis  ne  hamāre  paañv  kī  aadat  ḳharāb  kī
ujlat-pasand  haath  meñ  aa.e  hue  the  ham
kuchh  gāhakoñ  ne  pūchh  ke  qīmat  ḳharāb  kī
ya.anī  maiñ  us  ke  ba.ad  bhī  ḳhush  huuñ  ye  soch  kar
kamre  kī  jān-būjh  ke  hālat  ḳharāb  kī
vaise  ye  ishq  kaun  sā  likkhā  thā  baḳht  meñ
ham  ne  to  apnī  aap  hī  qismat  ḳharāb  kī
kis  ne  hamāre  naam  pe  beche  haiñ  qahqahe
kis  ne  hamāre  naam  kī  shohrat  ḳharāb  kī
tañg  aa  ke  āsmāñ  se  nikālā  gayā  hameñ
thoḌī  bahut  jo  thī  yahāñ  vaq.at  ḳharāb  kī
'sāhir'  junūn-e-shauq  meñ  kyā  kyā  nahīñ  kiyā
miTTī  palīd  kī  kabhī  izzat  ḳharāb  kī