vaise  to  kam  hī  miyāñ  ahl-e-junūñ  rote  haiñ
dekhne  vaale  samajhte  haiñ  ki  ḳhuuñ  rote  haiñ
pūchhne  vaale  ba-zid  haiñ  ki  batāyā  jaa.e
rone  vāloñ  ko  nahīñ  yaad  ki  kyuuñ  rote  haiñ
mujh  se  mat  pūchh  ki  tafrīq  nahīñ  kar  saktā
maiñ  to  hañste  hue  logoñ  ko  kahūñ  rote  haiñ
vo  bahut  ḳhush  hai  nayā  ghar  hai  nayā  shahr  magar
gaañv  meñ  us  kī  havelī  ke  sutūñ  rote  haiñ
tum  ko  ham  jaise  magar  ḳhush  hī  nazar  ā.eñge
ye  jo  ham  jaise  haiñ  āñkhoñ  ke  darūñ  rote  haiñ
us  kī  āñkhoñ  ko  kahāñ  aatā  thā  ronā  'sāhir'
maiñ  ne  phir  ro  ke  dikhāyā  thā  ki  yuuñ  rote  haiñ